Tuesday, May 17, 2011

RAKSHA VAAN-GUNA OF ACHARYA PARMESTHI

ACHARYA VIDYASAGAR JI ALSO HAS "RAKSHA VAAN" GUN,Acharya shri "raksha vaan" bhi hain".veh moksh margion ki raksha bhi kartein hain,chinta bhi kartein hain,agar kinhi muni maharaj ji tabiyat bigad jaati hai,toh dhyan bhi rakhte hain.aisa nahi hai ki unhe unse moh hai parantu unhe moksh margion ke prati prem hai,jo panch parmesthion ki sharan mein aa gaya hai,tatha muni vrat dharan kiya hua hai"unki hamesha jra raksha bhi kartein bhi hain".ek baar ahaar ji mein muni kshama sagar ji ki tabiyat kharab ho gayi,unko doctors ne keh diya ki agar yeh itne samay par sahi ho paatein hain,toh ho jaayenge,nahi toh nahi ho paayenge.is par acharya shri ne kaha"aapko jaisa karna hai vaisa karo",acharya shri subah tak jage rahe,tatha muni shri ke bagal mein baithe rahe"raat ko muni shri ki aankh lag gayi toh jab-jab unki aankh khulti,toh dekhte ki"acharya shri toh vaise ke vaise baithe huein hain".subah ho gayi toh acharya shri ne unke achche ahaar ki vyavastha karwai,yeh bata rahe the ki"pehle kya dena hai,phir baad mein kya den hai",ismein koi dosh nahi hai kyonki veh apne liye ahaar ki vyavastha nahi karwa rahein hain parantu,moksh margi ki sahayta kar rahein hain",ahaar ke baad acharya shri ne ahaar ke baad muni shri ko bulaya,tatha unse kaha ki "kshama sagar ulte ho jao,lao mein tumhare tail laga doon,achca ho jayega",acharya shri ka aisa bolna nahi tha ki muni kshamasagar ji ka 1/2 swasthya toh sahi ho gaya",acharya shri unki peeth pe teel laga rahe aur muni kshamasagar ji ro rahe the,unke ankho se aansu nahi ruk rahe"yeh aansu karuna bhav ke liye nikale aanso hain,toh aise hotein hain acharya parmesthi.--by muni kshama sagar ji.

No comments:

Post a Comment