Tuesday, May 17, 2011

HOW DO JEEV SUFFERS DUE TO KUDEVA,KUDHARMA AND KUSHASTRA

ek raaja tha,use updesh sunne ka bahut shauk tha.us raja ke paas ek vidhwan tha,jo unhe roj updesh sunata tha.varshon se wo hi updesh suna raha tha,lekin kabhi bhi uss vidhwan ne aatma kalyaan wala (muniraj wala ya sansar se viracti karwane wala) updesh nahi sunaya,vidhwan apne updeshon se raja se kuch bhi karwa leta tha.ek baar uss vidhwan ko kahin kisi kaam se jaana pad gaya,veh raja se bol gaya aur keh gaya ki"main toh jaa raha hoon,lekin mere jaane ke baad agar aap aur kisi se updesh sunein,toh jara iss shlok ka meaning uss se pooch lein ( wo shlok mughe yaad nahi hai),agar veh iska matlab bata de,tabhi usse updesh sunna,nahi toh mat sunna,aur veh vidhwan raaja ko shlok ka galat matlab bata ke chala gaya,usne raja se kaha "is shlok ka meaning yeh hai ki "billi chat ke upar baith kar chana kha rahi hai" ( jo ki galat tha).us vidhwan ke jaane ke baad uss raja ke rajya mein anek vidhwan aaye,jyadatar uss shlok ka sahi matlab batate ,lekin raaja un vidhwano ko galat kehkar nikaal deta.ek baar ussi raja ke paas man-paryay gyani,nagna digambar muni-maharaj aaye,veh apne gyan se samagh gaye ki iss rajya ka raja bhavya hai,lekin veh uss vidhwan ki vajah se sansar mein fas-gaya hai,muni ne uski pareshani bhi jaan li.ek baar raaja unke darshan karne aaya aur updesh sunne se pehle raja ne muniraj se usi shlok ka arth poocha,muniraj ne uss seth ko vidhwan dwara bataya hua galat matlab bataya,aur kaha ki uss vidhwan ne aapko fasaya hua hai,aur aapko usne galat matlab bataya hai.aur muniraj ne us raaja ko uss shlok ka sahi arth bata diya.uss updesh ke prabhav se raja ne muni-deeksha le li.ek saal baad vidhwan vaapas aaya aur raaja ko muniraj bane hue dekha toh chidne laga.muni maharaj ne bhi usse kaha ki "aapne mughe fasaya hua tha,ab aap bhi apna aatma kalyaan karo"...-Elacharya vasunandi ji maharaj

APNI IS STORY KE THROUGH VASUNANDI JI MAHARAJ HAMSE YEH KEHNA CHAH RAHEIN HAIN KI "BILKUL ISSI PRAKAAR YEH JEEV MITHYATVA MEIN FASA REHTA HAI,KUDEV KUDHARM,KUSHASTRA,KUGURUON KE CHAKKAR MEIN FASA REHTA HAI AUR KABHI BHI APNA AATMA KALYAAN NAHI KAR PATA HAI.

No comments:

Post a Comment