ACHARYA VIDYASAGAR JI KI 1976 MEIN CHATURMAS SE PEHLE HUI EK GHATNA.
Acharya vidyasagar ji us samay katni(ek sehar) mein the,katni mein bahut jyada machchar hotein hain aur garmi bhi bahut bhayankar padti hai,toh acharya vidyasagar ji maharaj katni mein sasangh viraajman the,unhein achanak se aisa bhukhar aa gaya,ki kam se kam 4 ya 5 bhukhar tha,sochiye itni garmi,itne machchar aur upar se bhayankar bhukhar,parantu aise samay mein acharya shri ne himmat nahi hari.acharya shri sham ko apne kamre mein bhukhar ki vajah se lete hue the,raat ko so gaye.katni mein ek pandit ji hain "jinhe bade pandit ji ke naam se jante hain"veh jain vidhwan the(ab nahi rahe),toh unhonein acharya shri ki iss avastha ko dekha nahi gaya aur unhone unke pure kamre mein machchar dani bicha di,jo ki acharya shri ke liye upsarg ke samaan tha.raat ko acharya shri ki neend khuli,toh unhone machchar dani ko upsarg maan kar dhyan mein leen ho gaye,subah pandit ji aaye toh unhone acharya shri ko dhyan mein leen dekh,unke kamre se machchar dani hata di.acharya shri ko dhyan se hataya toh acharya shri ne kaha"pandit ji yeh aapne kya kiya,mughe pata hai ki aapke mere upar upsarg karne ke bhav nahi the,lekin aisa karna hi upsarg hai,yeh sab cheejein jain sadhuon ko sobha nahi deti,ki apne swasthya ke liye kisi bhi jeev ko kasht dein".pandit ji bhi bahut chalaak the unhone kaha hai"maharaj ji main toh machcharon ke bhale ke liye hi soch raha tha,agar veh aapke bhukhar ke sharir ko kaatenge toh unko bhi toh bhukhar aa sakta hai,ya mar saktein hain".toh iss par acharya shri ne badi easily kaha"gyani log apne swarth ke liye koi bahana nahi banatein hain,veh toh tap mein leen rehtein hain,voh aise bahane nahi maartein hain,yeh sab kaam toh sansaari jeevon ke hotein hain".pandit ji ne acharya shri se kshama mangi,acharya shri ne unhein kshama kar diya.toh hamein iss puri story se teen siksha milti hain.1. jain muni maharaj kisi bhi kasht ke samay vichlit nahi hotein hain,na hi haar mantein hain,aur usse apne karmo ki nirjara maan kar sehaj sweekar kartein hain. 2.sadhu ki seva karne ka arth yeh nahi hai ki unki tapasya mein vighna daal dena,ya unke liye suvidha jutaana.third moral aapko comments mein repply dena hai,dekhtein hain aap mein kitna gyan hai.

Dusre jeevon yahan par machcharon ko unke bhojan arthat guruji ke swayam ke rakt se door rakhna bhi paap hai...kripaya batayein ki yeh sahi moral hai ya nahi
ReplyDelete