Wednesday, May 11, 2011

LESHYA GYAAN


                                                               LESHYA GYAN
KASHAY AUR YOG SE ANURANJIT AATMA KE PARINAMO KO LESHYA KAHTE HAIN.
duniya men vibhinn prakar ke log rahte hain .kuch swabhav se bade satvik, kuch rangeen mijaj, kuch kroor prakrati ke aadi. inko janne samajhne ko leshya gyan kahte hain aur samajh kar jeevan ko sudharne se sadgati banti hai.
leshya ke 6 bhed hote hain:
...
1. BHAW KRISHNA LESHYA:sada bure vichar karna,baat baat par krodh karna,doosron se ghrina karna,dharm se rahit hona,hinsak hona, vairi hona ye bhaw krishn leshya ke samanya lakshan hain.
2.BHAW NEEL LESHYA:aalsi,buddhiheen,kami,bhogi,darpo
k,thagi aur sada maan samman chahna ye neel leshya ke lakshan hain.
3.BHAW KAPOT LESHYA:DOOSRE KI NINDA KARNA,APNI PRASHANSHA KARNA,baat baat men naraj hona, shokakul rahna ye bhaw kapot leshya ke lakshan hain.
4.BHAW PEET LESHYA: dayalu hona,vivekwan hona,santoshi hona,teevra buddhi ka hona, sabhi se prem bhaw rakhna bhaw peet leshya ke lakshan hain.
5.BHAW PADM LESHYA:sada prasann rahna,paropkar men rat rahna,pooja daan aadi karna,tyagi hona bhaw padm leshya ke lakshan hain.
6.BHAW SHUKL LESHYA:raag dwesh se rahit hona,prani matra ke prati snehbhaw rakhna, shok, nidra se rahit hona bhaw shukl leshya hai.
LESHYA GYAN KO SAMAJHNE KE LIYE EK UDAHARAN
6 vyakti aam khane ki bhavna se ek baageeche men gaye. pahle vyakti ne aam khane ke liye vriksha ko katna shuru kar diya. doosre ne aam ki shakha ko katna shuru kar diya,teesre vyakti ne tahni ko katna prarambh kiya, chauthe vyakti ne vriksh par chadh kar aam ko jhadana shuru kiya,paanchve vyakti ne paka aam todna shuru kia,kshate(6) vyakti ne neeche gire pake aam ko khana prarambh kar diya.
ye udaharan batata hai ki vriksh ko jd se katna krishn leshya ka prateek, shakha katna neel leshya ka prateek,tahni katna kapot leshya ka prateek,aam jhadana peet leshya ka prateek,pake aam todna padm leshya ka prateek , aur neeche gire aam ko uthakar khana shukl leshya ka prateek hai..
SHUBH AUR ASHUBH LESHYA
krishn,neel aur kaapot ashubh leshya hain aur peet , padm,shukl shubh leshya hain.
shubh leshya wala jeev manushya aur dev gati,ashubh leshya wala narak aur tiryanch gati ko prapt karta hai.
narak gati men ashubh leshya ke jeev,tiryanch aur manushya gati men sari leshyaon wale jeev tatha dev gati men shubh leshya wale jeev rahte hain.

No comments:

Post a Comment